Nov 012011
 

Kash main tere haseen haath ka kangan hota

Tu bade pyar se bade chaao se bade armaan ke saath
Apani naazuk si kalayee mein chadhati mujh ko
Aur betaabi se furqat ke khizaan lamhon mein
Tu kisi soch mein doobi jo ghumatii mujh ko
Main tere haath ki khushbu se mahak saa jata
Jab kabhi mood mein aa kar mujhe chuma karti
Tere honton ki shiddat se main dahak saa jata

Raat ko jab bhi tu neendon ke safar par jati
Marmari haath kaa ik takiya banaya karti
Main tere kaan se lag kar kai baaten karta
Teri zulfon ko tere gaal ko chumaa karta
Jab bhi tu band qabaa kholne lagati jaanaan
Apani aankhon ko tere husn se kheraa karta
Mujh ko betaab saa rakhta teri chaahat kaa nashaa
Main teri rooh ke gulshan mein mahakata rahta
Main tere jism ke aangan mein khanakata rahta
Kuchh nahi to yahi benaam saa bandhan hota

Kash main tere haseen haath ka kangan hota

Oct 222011
 

Tairay firak k lamhay shumar krtay huwe
Bikher chalay hain taira intezaar krtay huwe

To main bhi khush hun koi us se ja k keh daina
Agar wo khush hai mujhe beqarar kertay huwe

Tumhain khabar hi nahin hai k koi toot gaya
Mahabaton ko bohat paidar kertay huwe

Main muskurata hua aainay main ubhroon ga
Wo ro pray gi achanak singhaar kertay huwe

Mujhay khabar thi k ab laut kr na aaonga
So tujhko yad kiya dil pe war kertay huwe

Wo kh rahi thi k samandar nahin hain ankhain hain
Main un main doob gaya aitbaar kertay huwe

Bhanwar jo mujh main pray hain wo main hi janta hun
Tumharay hijr k darya ko paar kertay huwe

Oct 202011
 

Wo apni saari nafratein mujh pe lutata raha….
Mera dil jis ko sada mohabbatein sikhata raha….

Us ki aadat ka zara ye pehlo to dekho….
Mujh se kiay vaaday wo kisi aur se nibhata raha….

Kuch khabar nahi wo shaks kya chahta tha….
K taaluq tor kar bhi mujh ko aazmata raha….

Tootay huay taaluq main bhi kitni mazbooti hai”WASI”
Main jitna bhulata raha wo utna hi yaad aata raha….!!!

Oct 182011
 

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko

Koi lamha ho tere yaad mai kho jatay hain
Ab toh khud ko bhe muyassar nahi aaa patay hain
Raat ho din ho tere pyar mai hum behtay hain

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko

Woh jo ghum aye usay dil pay saha kertey thay
aik saith hum mil ker raha kertey thay
Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain

Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Ab Jo bichray toh ehsaas hua hai hum ko

Hum Nay khud apni rahon mai bichaye kantay
Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay
Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain

Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain

Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
Char so gunjti ruswai kisay kehtay hain
Ab jo bichray ko ehsaas hua hai hum ko

Oct 112011
 

Sach kahon ga to saza dain gy tery shehr k log
Mujko sooli pr charha dain gy tery shehr k log

Baton baton mein tera zikr krain gy mujh say
Yun zakhmon ko hawa dain gy tery shehr k log

Aik diwar gira doon bhi to aye jan e ghazal
Nai diwar utha dain gy tery shehr k log

Main ny sadion mein hunsny ka saliqa sikha
Kiya khabar thi rula dain gy tery shehr k log

Main to shama hoon meri umar hi kiya hai
Subha hoty hi bujha dain gay tere shehr k log

Oct 072011
 

Dil ki chokhat pe jo ek deep jala rakha hai
Tere loot anay ka emkaan saja rakha hai

Sans taak bhi nahi laite tujhai sochte hoyee
Hum ne is kaam ko bhi kaal pe utha rakha hai

Rooth jate ho to kuch or haseen lagte ho
Hum ne ye soch k hee tum ko khafa rakha hai

Tum jesi rootha howa choor gayee thay ak din
Hum ne us shaam ko seenay say laga rakha hai

Chein laine nahi daite ye kisi toor mujhai
Teri yadoon ne jo tufaan utha rakha hai

Janay walay ne kaha tha k wo loote ga zaror
Ak isee aass pee darwaza khula rakha hai

Tere janay say jo k dhol uthee thi ghaam ki
Hum ne us dhool ko ankhon main basa rakha hai

Mujh ko kal shaam say wo yaad bohut ane lagay
Dil ne mud’dat say jo ak shaks bhula rakha hai

Akhri bar jo ayaa tha mere naam
Main ne us khaat ko kaalejay say laga rakha hai.!

Oct 052011
 

Apni dharkano se kuch aisay mera naam lo
Ye waqat ruk jaye is lamhay ko thaam lo

Teri ankhon main jhalak hai asi mery piyar ki
Sahil pe jesey dhalti haseen sham ho

Lafzon se hota nahi izhar humse piyar ka
Bas meri ankhon main dekh kar khud ko pehchan lo

Jesey tarasta hai shera shabnam k choonay ko “Wasi”
Kabhi wesy rab se tum bhi mujhey maang lo