Dec 192011
 

Zehan mein soorat gumaan thehri
Wo nazar is tara kahan thehri
Hum ne jo be-khudi mein keh dali
Baat wo zaib-e-daastaan thehri
Phool mango to zakham dete hein
Ab yahi rasm-e-dostaan thehri
Chaand ko dekh ker wo yaad aai
Chandni meri raazdaan thehri
Khawahishoon mein bikhar gai Muhsin
Dosti jins raaigaan thehri

Dec 022011
 

Kya khazanay meri jaan hijr ki shab yaad aaye
Tera chehra,teri aankhain tere lab yaad aaye

Aik tu tha jisay Ghurbat main pukara dil ne
Warna bichrday huye ehbaab to sab yaad aaye

Hum ne Maazi ki Sakhaawat pe jo pal bhar socha
Dukh bhi kya kya humain Yaaron k sabab yaad aaye

Phool khilnay ka jo Mosam mere dil main utra
Tere bakhshay huye kuch Zakham ajab yaad aaye

Aab to Aankhon main faqat dhool hey kuch yaadon ki
Hum usay yaad bhi aaye hain to kab yaad aaye

Bhool janay main wo Zalim hey bhala ka Maher
Yaad aanay pe bhi aaye to ghazab yaad aaye

Ye khunak rut, ye Naye Saal ka pehla lamha
Dil ki khwahish hey k Mohsin koi ab yaad aaye

Oct 042011
 

Yaad_e_Mazi Mai Jo Ankhon Ko Saza Di Jaye
Is Say Behtar Hai Kay Har Baat Bhula Di Jaye

Main nay Apno Kay Rawayon Say Ye Mehsoos Kiya
Dil Kay Angan Mai Bhi Dewaar Utha Di Jaye

Mai Nay Yaroon Kay Bhicharne Say Ye Seekha “MOHSIN”
Apne Dushman Ko Bhi Jeene Ki Dua Di Jaye

Aug 192011
 

Mansoob thay jo loog meri zindagi kay saath
Aksar wohi milay hain bari be-rukhi kay sath

Yun to main hans para hoon tumharay liay magar
Kitnay sitaray toot paray hain aik hansi kay sath

Fursat milay to apna giraban bhi daikh lay
Ay dost yun na khail meri bay basi kay sath

Majboorion ki baat chali hai to mai hai kahan
Hum nay piay hai zehar aksar khushi kay sath

Mohsin karam ki lay bi hoo jis main khaloos bhi
Mujh ko ghazab ka piyar hai is ki dushmani kay sath

Aug 152011
 

Bichray Howey Yaroon Ki Sadaa Kyun Nahe Aati
Ab Roozn-e-Zindaa’n Say Hawa Kyun Nahe Aati

Tu Ab Bhi Salamat Hay Safar Mein Toa Musafir
Teray Leye Hontoon Par Dua Kyun Nahe Aati

Pathar Hoo Toa Kyun Khoof-e-Shab-e-Gham Say Ho Larzaa’n
Insaan Hoo Toa Jeenay Ki Aadaa Kyun Nahe Aati

Ek Pairr Kay Saaye Say Hawa Pooch Rahi Hay
Ab Dasht mein Makhlooq -e -Khuda Kyun Nahe Aati

Chehroon Peh Woh Sarsoon Ki Dhanak Kya Howi Yaroo
Hathoon Say woh Khushboo-e-Hina Kyun Nahe Aati

Bastii Mein Sabhi Log Salamath Hein Toa Mohsin
Awaaz Koi Apnay Siwa Kyun Nahe Aati

Aug 042011
 

Ab Ke Us Ki Aankhon Mein
Be Sabab Udaasi Thi!
Ab Ke Us Ke Chehre Par
Dukh Tha Be Hawasi Thi!

Ab Ke Yun Mila Mujh Se
Yun Ghazal Suni Jaise
Main Bhi Na-ashna sa Hoon
Woh Bhi Ajnabi Jaise

Zard Khad o Khal Us Ke
Sogwaar Daaman Tha
Ab Ke Us Ke Lehje Mein
Kitna Khurdara Pan Tha!

Woh K Umar Bhar Jis Ne
Shehar Bhar Ke logo Mein
Mujh Ko Hum Sukhan Jana
Dil Se Aashna Likha
Khud Se Meharbaan Samjha
Mujh Ko “Dil Ruba” Likha

Ab Ke Saadah Kaaghaz Par
Surkh Roshnai Se
Us Ne Talakh Lehje Mein
Mere Naam Se Pehle
Sirf “Be Wafa” Likha