Ik diya bujh hi gaya hoga sar-e-taak-e-ummeed

Published by Prince on Tagged Poetry

Ik diya bujh hi gaya hoga sar-e-taak-e-ummeed
Warna paighaam hawaaon ko idhar kya laana

Sheher mein saanp jab insaanon se zaahid ho jaayein
Pesh-e-aayina koi zehen mein dar kya lagna

Itni muhlat hai ki main mashq mein paani bhar lun ?
Faasla kam ho to phir zaad-e-safar kya laana



Bujh gayi aankh to pairhan-e-tar kya laaye

Published by Prince on Tagged Poetry

Bujh gayi aankh to pairhan-e-tar kya laaye
Chaah se ab mere yusuf ki khabar kya laaye

Jab musafir ka iraada hi bhatakne ka hua
Ik charaagh aur sar-e-rehguzar kya laaye

Raat ham khaanakhraabon ka bhram rakh leti
Raushni rehte mein mehmaan ko ghar kya laaye

Shabguzaaron ! Woh sitaara to mera doob chuka
Ab dam-e-subah duaon mein asar kya laaye



Ek suraj tha ki taaron ke gharaane se uttha

Published by Prince on Tagged Poetry

Ek suraj tha ki taaron ke gharaane se uttha
Aankh hairaan hai, kya shaqs zamaane se uttha

Kis se poochun tere aaka ka pata aye rehvaar
Yeh aalam woh hai na ab tak kisi shaane se uttha

Halka-e-khwaab ko hi gird-e-goolu kar daala
Dasr-e-qaatil ka bhi ehsaan na deewaane se uttha

Phir koi aks shuaaon se na ban ne paaya
Kaisa mehtaab mere aayinakhaane se uttha

Kya likha tha sar-e-mehzar, jise pehchaante hi
Paas baitha hua har dost bahaane se uttha

Aaj tak sheher ka chehra na ghulne paaya
Gard ka kaisa bagola tere jaane se uttha

Zindagi mein yeh badan shola-e-jawwala tha
Mauja-e-sard ! Meri raakh thikaane se uttha

Dhaal ab waqt ke haathon mein hai aye teerandaz
Rakh de ik sant kamaan, haath nishaane se uttha

Dil teri chashm-e-mudarat se bait tha phir
Kis tarah bazm mein auron ke utthane se uttha

Dood-e-yaq-seena-e-sozaan se bhala kya darna
Woh dhuan dekh jo sholon ke bujhaane se uttha

Dil dukha hai to khuli hai mere vizdaan ki aankh
Ik shigoofa tha ke shabnam ke jaagne se uttha

Saunp de apna hunar unko ki jinka haq hai
Waqt aaya hai ke ab saanp khazaane se uttha



Ghar ki yaad bhi hai aur darpesh safar bhi hai

Published by Prince on Tagged Poetry

Ghar ki yaad bhi hai aur darpesh safar bhi hai
Chauthi samt nikal jaane ka dar bhi hai

Lamha-e-rukhsat ke goonge sannate ki
Ek gawaah to uski chashm-e-tar bhi hai

Ishq ko khud daryuzgari manzoor nahin
Maangne par aaye to qasa-e-sar bhi hai

Naye safar pe chalte huye yeh dhyan rahe
Raste mein deewaar se pehle dar bhi hai

Jin cheezon ko hara rehne ki dua thi
Un mein aaj se shaamil zakhm-e-hunar bhi hai

Bahut se naamon ko apne seene mein chhupaaye
Jali huyi basti mein ek shajar bhi hai

Wahi khayaal ke aankhon tak reh jaaye to ashq
Misra-e-tar ban jaaye to silk-e-guhar bhi hai

Sookh gaya khud apne dil ki name se
Ped ko kya maloom tha, bel amar bhi hai



Had-e-inteha say bohat aagay usay chaha hai

Published by Prince on Tagged Poetry

Had-e-inteha say bohat aagay usay chaha hai.,
Hum nay wafa say bohat aagay usay chaha hai.,

Jahaan say lout aanay ka rasta nahi milta.,
Us raah say bohat aagay usay chaha hai.,

Un say kaho jin ki nigah mein mohabbat gunah-e-azeem hai.,
Hum nay gunah say bohat aagay usay chaha hai.,

Mohabbaton mein harf-ba-harf mujhay mangna nahi aata.,
Main nay aadab-e-dua say bohat aagay usay chaha hai.



Guzarna na kabhi bhi in rakhoon se tum

Published by Prince on Tagged Poetry
Apni dunya mein rehta hoon na hai muje kisi ki khabar
Muhabbat ki daastan kabhi suni nahi mein ne

Jaane kon kon aaya is gulshan mein basne ko lakin
Is dil ka mustaqil mehmaan nahi banaya mein ne

Manta hoon k is seene mein bhi dharakta hai dil
Lakin is dil ki awaz kabhi suni nahi mein ne

Intazaar kerte kerte aakhir wo bhi thak jai ga
Ke intazaar ki gharyaan kabhi kaati nahi mein ne

Jan`na chaho to jaan lo tum mer be-hissi ka raaz
Ke apne maseehaoon se bhi dhoka khaya hai mein ne

Guzarna na kabhi in rahoon se tum Shahid Ali
Ke is gali ka har rasta band ker rakha hai mein ne


Zameen se reh gaya door aasmaan kitna

Published by Prince on Tagged Poetry

Zameen se reh gaya door aasmaan kitna
Sitaara apne safar mein hai khush gumaan kitna

Parinda paikaan-badosh parwaaz kar raha hai
Raha hai usko khayaal-e-sayyadgaan kitna

Hawa ka rukh dekh kar samandar se poochna hai
Utthayein ab kashtiyon pe ham baadbaan kitna

Bahaar mein khushbuon ka naam-o-nasab tha jis se
Wahi shajar aaj ho gaya hai benishaan kitna

Gire agar aayina to ek khaas jaaviye se
Wagarna har aks ko rahe khud pe maan kitna

Bina kisi aas ke usi tarah jee raha hai
Bichhadne waalon mein tha koi sakhtjaan kitna

Woh log kya chal sakenge jo ungliyon pe sochein
Safar mein hai dhoop kis qadar saahibaan kitna



Jo tujh ko dekh chuka ho wo aor kya dekhe

Published by Prince on Tagged Poetry

Usi tarah se har ek zakhm khushnuma dekhe
woh aaye to mujhe bhi ab hara bhara dekhe

Guzar gaye hain bahut din rafaqat-e-shab mein
ik umr ho gayi hai chehra woh chaand sa dekhe

Mere sukoot se jisko gile rahe kya kya
bichhadte waqt un aankhon ka bolna dekhe

Tere siwa bhi kayi rang khush nazar the magar
jo tujhko dekh chuka ho woh aur kya dekhe

Bas ek ret ka zarra bacha tha aankhon mein
abhi talak jo musafir ka raasta dekhe

Usi se pooche koi dasht ki rafaqat jo
jab aankh khole, pahaadon ka silsila dekhe

Tujhe azeez tha aur maine usko jeet liya
meri taraf bhi to ek pal tera khuda dekhe

 



Muhabbat

Published by Prince on Tagged Poetry

Muhabbat khawab hoti hai
Muhabbat baat hoti hai
Jo koi pooch bethe to
Muhabbat raaz hoti hai
Machalti hoi umangoon ka
Soohana saath hoti hai
Jo koi dhoondna chahe
To yeh nayab hoti hai
Muhabbat phool hai shayad
Ghamoon ki dhool hai shayad
Chamakti raat hai shayad
Kisi ki yaad hai shahyad
Muhabbat pur-sakoon bhi hai
Magar be-taab hoti hai
Agar mil na sakte to phir
Azab-e-Jaan hoti hai



Khawahishoon mein bikhar gai

Published by Prince on Tagged Poetry

Zehan mein soorat gumaan thehri
Wo nazar is tara kahan thehri
Hum ne jo be-khudi mein keh dali
Baat wo zaib-e-daastaan thehri
Phool mango to zakham dete hein
Ab yahi rasm-e-dostaan thehri
Chaand ko dekh ker wo yaad aai
Chandni meri raazdaan thehri
Khawahishoon mein bikhar gai Muhsin
Dosti jins raaigaan thehri