Aye mere humnasheen chal kahin aur chal
Published by Prince on Tagged PoetryAye mere humnasheen chal kahin aur chal
Is chaman mein ab apna guzara nahi
Baath hoti gulon tak toh sehlete hum
Ab toh kaanton pe bhi haq hamara nahi
Di sadaa daur par aur kabhi toor par
Kis jagah main ne tumko pukara nahi
Thokaren yun khilaane se kya faida
Saaf kehdo ke milna gawara nahi
Gulsitaan ko lahoo ki zaroorat padi
Sab se pehle hi gardan hamari katii
Phir bhi kehte hain mujhse ye ahal-e-chaman
Ye chaman hai hamara, tumhara nahi
Zaalimon apni kismat pe naazaan na ho
Daur badlega ye waqt ki baath hai
Wo yakeenan sunega sadayen meri
Kya tumhara khuda hai, hamara nahi
Aaj aaye ho tum, kal chale jaogay
Ye mohabbat ko apni gawara nahi
Umr bhar ka sahara, bano toh bano
Do ghadi ka sahara, sahara nahi
Apni zulfon ko rukh se hataa lijiye
Mera zaukh-e-nazar aazma lijiye
Aaj ghar se chala hoon, yehi sochkar
Ya toh nazren nahi ya nazaara nahi
Aye mere humnasheen chal kahin aur chal
Is chaman mein ab apna guzara nahi
Baath hoti gulon tak toh sehlete hum
Ab toh kaanton pe bhi haq hamara nahi



December 10th, 2011 at 1:52 am
zabardast kamal ki posting ke hy aap nay i love this poem dude BLOG
February 11th, 2012 at 12:54 am
Kia kama£ ki poetry he