Ye Nigaah-e-Sharm Jhuki Jhuki, Ye Jabeen-e-Naaz Dhuwaan Dhuwaan

Published by Prince on Tagged Poetry

Ye Nigaah-e-Sharm Jhuki Jhuki, Ye Jabeen-e-Naaz Dhuwaan Dhuwaan!
Mere Bus Ki Ab Nahi Dastaan, Mera Kaanpta Hai Ronwaan Ronwaan!

Ye Takheyyulaat Ki Zindagi, Ye Tasswuraat Ki Bandagi!
Faqt ek Fareb-e-Khayal Per, Meri Zindagi Hai Rawaan Rawaan!

Mere Dil Pe Naqsh Hain Aaj Tak, Wo Be Ahtayaat Nawazishein!
Wo Gharoor-o-Zabt Ayaan Ayaan, Wo Khaloos-o-Rabt Nehaan Nehaan!

Na Safar Bashart-e-Maal Hai, Na Talab Baqaid-e-Sawaal Hai!
Faqt ek Hi, Sair-e-Zauq Ko, Main Bhatak Raha Hun Kahaan Kahaan!

Ho Talism Alam-e-Rang-o-Bu, K Harim-e-Anjum-o-Kehkashaan!
Mera Saath Degi Nazar Meri, Wo Chupein Gay Jaa K Jahaan Jahaan!

Meri Khalwaton Ki Ye Jannatein, Kai Baar Sajj K Ujarh Gaiein!
Mujhe Baarha Ye Gumaan Hua, K Tum Aa Rahay Ho Kushaan Kushaan!




One Response to “Ye Nigaah-e-Sharm Jhuki Jhuki, Ye Jabeen-e-Naaz Dhuwaan Dhuwaan”

  1. Fati Maheen Says:

    Un ko bhulana be chahien mager bhula na sakey
    Yadien un ki mitana be chahien mager mita na sakey

    Ek hum hi they jo khud ko badal na sakey piyar mein
    warna yahan to log badla kertay hein mousam ki tarah

Leave a Comment