Mera Naam Badal Dena

Published by Prince on Tagged Poetry

Ek lafz Mohabbat hai, jissay kar ke daikho tum
Barbaad na ho jao to mera naam badal daina..

Ek lafz Muqaddar hai, jiss say larr ke daikho tum
Haar na jao to mera naam badal daina..

Ek lafz Wafaa ka hai, zamanay mein nahi milti
Kaheen say dhoond kar lao to mera naam badal daina..

Ek lafz Aansoo hai, issay dil mein chhupa kar daikho tum
Aankhon say na beh jaye to mera naam badal daina

Ek lafz Judai hai, issay seh kar daikho tum
Toot kar na bikhar jao to mera naam badal daina..



Leave a Comment