Eik shakhs andheron main ujalon ki tarah tha

Published by Prince on Tagged Poetry

Patthar tha magar barf ke galon ki tarah tha
Eik shakhs andheron main ujalon ki tarah tha

Khwabon ki tarah tha na khayalon ki tarah tha
Wo ilme-riyazee ke sawalon ki tarah tha

Uljha hoowa aisa ke kabhi sulajh na paya
Suljha hoowa aisa ke misalon ki tarah tha

Woh mil to gaya tha magar apna hi muqaddar
Satranj ki uljhi hooie chalon ki tarah tha

Woh rooh main khushbu ki tarah ho gaya tahleel
Jo door bahut chand ke halon ki tarah tha.



Leave a Comment