usay apny dard ki fkr the woh jo maira waqaf e hal tha
Published by Prince on Tagged PoetryUsay apny dard ki fkr the woh jo maira waqaf e hal tha
Woh jo us ki subeh arooj thi wohi mera waqat e zawal tha
Maira dard woh kaisy janta,maire baat woh kaisy manta
Woh to khud fana k safar main tha us ko rokna bhi mahal tha
Kahan jao gy mujhy chhor kr main poch poch ky thak gaya
Woh jawab mujh ko na dy saka woh to khud sarapa e sawal tha
Woh mila to sadiyon ba,ad bhi mairy lab py koi gilla na tha,
Usay maire chup ny rula diya jisy guftagu main kamal tha



Leave a Comment