Jahan bi gaye dastaan chor aaye
Published by Prince on Tagged PoetryMohabbat ki rangeenian chor aaye
Tere shehar main ik jahan chor aaye
Pahaaron ki wo mast-o-shadaab wadi
Jahan hum dil-e-naghma’ khawan chor aaye
Wo sabza, wo darya, wo pairon k saye
Wo geeton bhari bastiaan chor aaye
Haseen Panghaton ka wo chandi sa panii
Wo Berkha ki rut wo samaan chor aaye
Bohat se milay humsafar rastay main
Nahi yaad kis ko kahan chor aaye
Bohat dur hum aa gaye us gali sey
Bohat dur wo astaan chor aaye
Bohat mehrbaan thiin wo gul-posh rahain
Magar hum unhain mehrbaan chor aaye
Bhagolon ki surat yahan phir rahay hain
Nasheeman sar-e-gulistaan chor aaye
Ye Aijaz Hai husn-e-awaargi ka
Jahan bi gaye dastaan chor aaye
Chalay aaye un rahguzaaron sey Jalib
Magar Hum wahan qalb-o-Jaan Chor aaye



Leave a Comment