HaaN magar bewafa nahi huN maiN
Published by Prince on Tagged PoetryAadmi kam buraa nahi huN maiN
HaaN magar bewafa nahi huN maiN
Mera hona na hone jaisa hai
Jal chukaa huN, bujha nahi huN maiN
SoorteN seeratoN pe bhaari haiN
Phool huN, khushnumaa nahi huN maiN
Thoda thoda to sab pe zahir hun
Khud pe lekin khula nahi huN maiN
Raaste peechy chhod aaya huuN
Raasto pe chala nahi huN maiN
Zindgi ka hisaab kya rakhuN
Bin tumhare jiya nahi huN maiN
Dhoop mujh tak jo aa rahi hai Fikr
Yaani ki laaptaa nahi huN maiN



November 28th, 2011 at 3:30 pm
Waaah Waaah Nice Buhat Acha Likha Ha Jnab Ne…..,
!_OmairMian_!