Ik roshni andheron mein bikhra gaya koi

Published by Prince on Tagged Poetry

Yun zindagi ki raah mein takra gaya koi

Ik roshni andheron mein bikhra gaya koi

Wo haadsa, wo pahli mulaakat kya kahoon

Itni ajab thi soorat haalat kya kahoon,

Wo kehar wo gazab wo jafa mujko yaad hai,

Wo uski berukhi ki adaa mujhko yaad hai,

Mittha nahin hai zehan pe yun chaa gaya koi,

Yun zindagi ki raah mein takra gaya koi.

Pahle mujhe wo dekhe barham si ho gayee,

Fir apne hi haseen khayalo main kho gayee,

Bechargi pe meri usse reham aa gaya,

Shaayad mere tadapne ka andaaz bhaa gaya,

Saanso se bhi kareeb mere aa gaya koi,

Yun zindagi ki raah mein takra gaya koi.

Yoon usne pyaar se meri baaho ko chu liya,

Manzil ne jaise shaakh ke raahon ko chu liya,

Ik pal main dil pe kaise qayamt guzar gayi,

Rag rag mein uske husn ki khusboo bikhar gayi,

Zulfon ko mere shaan pe lehraa gaya koi,

Yun zindagi ki raah mein takra gaya koi.

Ab is dil-e-tabaah ki haalat na poochiye,

Benaam aarzoo ki lazzat na poochiye,

Ik ajjnabi tha rooh ka armaan ban gaya,

Ik haadsa tha pyaar ka unwaan ban gaya,

Manzil ka raasta mujhe dikhla gaya koi,

Yun zindagi ki raah mein takra gaya koi

yun-zindagi-ki-rah-mein



Leave a Comment