din guzar gayaa aitabaar me.n
Published by Prince on Tagged Poetrydin guzar gayaa aitabaar me.n
raat kaT ga_ii intazaar me.n
vo mazaa kahNha vasl-e-yaar me.n
lutf jo mila intazar me.n
un ki ik nazar kaam kar ga_ii
hosh ab kahaa.N hoshiyaar me.n
mere kaase me.n kaynaat hai
mai.n hooN aap ke iKhtiyaar me.n
aa.Nkh to uThii phuul kii taraf
dil ulajh gaya husn-e-Khaar me.n
tum se kyaa kahe.n kitane Gam sahe
ham ne be-wafa tere pyaar me.n
fikr-e-aashiyaa. N har Khizaam kii
ashiyaa.N jala har bahaar me.n
kis tarah ye Gam bhool jaaye ham
wo judaa hua is bahaar me.n….



Leave a Comment