Ab k bars kuch aisa karna
Published by Prince on Tagged PoetryAb k bars kuch aisa karna
Apney pichley bara maah k
Dukh sukh ka andaza karna
Bisri yaadein taza karna
Saada sa ek kagaz ley kar
Bhooley bisrey pal likh lena
Phir iss beetey ik ik pal ka
Apney guzrey ik ik kal ka
Ek Ek mor ka ihata karna
Sarey dost akhata karna
Saree subhein hazir rakhna
Saree shamein paas bulana
Aur alawa in k dekhoo
Sarey mausam dheyaan mein rakhna
Ek Ek yaad gumaan mein rakhna
Phir mohtaat qiyaas lagana
Gar to khushiyaan barh jati hain
Tu phir tum ko meri taraf se yeh saal mubarak
Aur agar gham barh jaye to
Matt bekaar takaluf karna
Dekho phir tum aisa karna
Meri khushiyaan tum ley lena
Mujh ko apney ghum dey dena
Ab k saal kuch! aisa karna



Leave a Comment