Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai
Published by Prince on Tagged Audio, PoetryAudio clip: Adobe Flash Player (version 9 or above) is required to play this audio clip. Download the latest version here. You also need to have JavaScript enabled in your browser.
Koi deewana kehta hai, koi pagal samajhta hai
Magar dharti ki bechaini ko bas badal samajhta hai
Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai
Ye tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai
Mohbbat ek ehsaason ki pawan si kahani hai
Kabhi Kabira deewana tha, kabhi meera deewani hai
Yahan sab log kehte hain meri aankhon main aasoon hain
Jo tu samjhe to moti hain, jo na samjhe to paani hain
Samadar peer ka andar hai lakin ro nahi sakta
Yeh ansoo pyar ka moti hai is ko kho nahi sakta
Meri chahat ko dulhan to bana lena magar sun le
Jo mera ho nahi paya wo tera ho nahi sakta
Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahin paaya
Hawaaon ke isharon par magar main beh nahin paaya
Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyar ka kissa
Kabhi tum sun nahin paaye, kabhi main keh nahin paaya
Bhramar koi kumudni par machal baitha to hungama
Hamare dil main koi khwaab pal baitha to hungama
Abhi tak doob ke sunte sab kissa mohhabat ka
Main kisse ko haqeekat main badal baitha to hungama



November 24th, 2009 at 3:13 am
Swaym se dur ho tum bhi, swaym se dur hein hum bhi
Bade mashhoor ho tum bhi, bade mashhoor hein hum bhi
Bade magroor ho tum bhi, bade magroor hein tum bhi
Aatah bade majboor ho tum bhi bade majboor hein hum bhi