kis tarah aae ga qarar mujhe
us ne dekha hai bar bar mujhe
kho gya hon ghamon ke sahra mein
tou kahan hai zara pukar mujhe
ashk ankhon se youn nikal aae
jane kya keh gae bahar mujhe
kia bataon sitara e sahar hai
abhi kessi ka intazar hai mujhey
kis tarah aae ga qarar mujhe