Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai

Published by Prince on Tagged Poetry

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Halay Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai

Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai

Tum Dunya Ki Shedai Ho,Main Sapnoon Ka Bashinda
Sath Humain Yuhn Tera Nibhana Kitna Mushkil Hai

Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Aye Hai Kitni Dor
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai

Wehshat K Saaz Pay Raksaan Matam K Kuch Alfaaz
In Hontoon Pay Geet Sajana Kitna Mushkil Hai

Apnay Hontoon Say Ana K Talay Hum Say Na Khol Payen Gain
Dor Hotay Sathi Ko Bholna Kitna Mushkil Hai

Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai

Roz Muhj Say Aik Naye Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai

Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai




7 Responses to “Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai”

  1. Hadi Muhammad Says:

    *************************
    ***SAMINA RAJA KI POETRY***
    *************************

    Main tumharay aks ki aarzoo mein bass aayina hi bani rahi
    Kabhi tum na samnay aa sakay, kabhi mujh pay gard pari rahi

    Woh ajeeb shaam thi,aaj tak meray dil mein uss ka malal hai
    Meri tarah jo teri muntazir, teray rastay mein khari rahi

    Kabhi waqf-e-hijr main ho gaei,kabhi khwab-e-wasl mein kho gaei
    Main faqeer-e-ishq bani rahi, main aseer-e-yaad huwi rahi

    Bari khamshi say sarak kay phir meray dil kay gird lipat gaei
    Woh rida-e-abr-e-sfed jo sar-e-kohsar tani rahi

    Huwi uss say jabb meri baat bhi,thi shareek-e-dard woh zaat bhi
    To na janay kon si cheez ki meri zindgi mein kami rahi

  2. Hadi Muhammad Says:

    SAMINA RAJA KI GHAZAL,NO-2
    ************************
    Dasht mein ik talism-e-aab kay sath
    Door tak ham gaey sarab kay sath

    Phir khizan aaei aur khizan kay bad
    Khaar khilnay lagay gulab kay sath

    Raat bhar toot’ti huwi neendein
    Jur gaein sehr-e-mahtab kay sath

    Ham sada ki tarah bujhay huway thay
    Woh tha pehli si aab-o-taab kay sath

    Chhoti umron ki pehli pehli baat
    Kuchh takalluf say kuchh hijab kay sath

    Aur phir yeh nigah-e-kheera bhi
    Doob jaey gi aaftab kay sath

    Raat ki tashtari mein rakhi hain
    Meri aankhein kisi kay khwab kay sath

    Us gali mein na koei kesay jaey
    Shaam ko is dil-e-kharab kay sath

    Yeh faqat rasm hi nahin ay doast!
    Dil bhi shamil hai intasab kay sath

  3. Hadi Muhammad Says:

    SAMINA RAJA KI GHAZAL,NO-3
    ************************

    Jesay yeh dard say bani huwi thi
    Shaam is tarah kasni huwi thi

    Neend aur khwab mein thhani huwi thi
    Dil ki aankhon say dushmani huwi thi

    Raat ki apni roshni thi bohat
    Dhoop kay jesi chandni huwi thi

    Koei zi rooh door door na tha
    Aur khamoshi bohat ghhani huwi thi

    Kon tha bann mein bheegnay wala
    Chadar-e-abr kion tani huwi thi

    Goonjti thi har aik saans kay sath
    Ik tamanna jo ragni huwi thi

    Aik muddat kay intazar kay bad
    Us darichay mein roshni huwi thi

    Aaiyna kion siyah lagta tha?
    Kya andheray say main bani huwi thi

  4. Hadi Muhammad Says:

    SAMINA RAJA KI GHAZAL,NO-4
    ************************

    Chashm hairan bhi hai, ehed ki paband bhi hai
    Dil jisay chahta hai us say gila mand bhi hai

    Poshish-e-gahm pay na itna bhi koi nazan ho
    Is mein hlki si khushi ka kahin pewand bhi hai

    Baray,us deed say aankhon ko mila hai kuch chaen
    Lekin is dil ki tarap aaj say dochand bhi hai

    Aap kay sr mein kisi aur ka soda,herat!
    Jb isi sr ki hmaray liay sogand bhi hai

    Raat,tnhai,taaqub mein musalsal koi chaap,
    Aur jb ilm ho, aagay yeh gli band bhi hai

    Nabz pr dst-e-msiha nahin,hai dst-e-hbib
    Gr yeh ht jaey to ik aan mein dil band bhi hai

  5. Hadi Muhammad Says:

    SAMINA RAJA KI GHAZAL ,NO-5
    *************************

    Buhat chaha jahan mein shaad hona
    Muqaddar mein na tha aabaad hona

    Qafas ko hm chaman hi maan laen gay
    Khush aaey gr tujhay sayyaad hona

    Usay hai ronaq-e-dunya say nisbat
    So ab kis kay liay barbaad hona

    Yeh dil hai said-e-yaad-e-yaar aisa
    Na chahay ga kabhi aazaad hona

    Kabhi dekhay woh apnay qasr-e-dil say
    Kisi ka khanaman barbaad hona

    Buhat hai,zindagi kay rastay pr
    Hamein ik doosray ki yaad hona

  6. Hadi Muhammad Says:

    SAMINA RAJA KI GHAZAL,NO-6
    ************************
    Jan ka roag bn jata aik din malal us ka
    Sard khana-e-dil mein rakh diya khayal us ka

    Aik din ki doori pr,khwab-e-wasl roshan hai
    Shab hoei to aay ga dheaan mein jamal us ka

    Phool, muskurahat aur chnd hsraton kay sath
    Poochnay gaey hm bhi, aik roaz haal us ka

    Natawan hai kuch dil bhi,kuch swal bemani
    Toar kr nikal aay aur woh bhi jaal us ka?

    Hm jwab kya detay, khud swal bn bethay
    Is qadar achanak tha,hm say ik swal us ka

  7. Hadi Muhammad Says:

    SAMINA RAJA KI GHAZAL,NO-7
    ************************Yeh gham nahin ke tera gham saha nahin jata
    Sitam yeh hai ke kisi say kaha nahin jata

    Jo shakhs sail-e-zamana ka rukh badalta raha
    Bahao pr bhi ab us say baha nahin jata

    Hamesha tark-e-muhabbat ka azm krtay hain
    Hamesha hm say hi qaaym raha nahin jata

    Ajab hai kya tujhay puhncha nahin agar zr-e-khwab
    K qatilon ko kabhi khoonbaha nahin jata

    Sda say khud pe raha ikhtiar lekin aaj
    Woh bekali hai k hm say raha nahin jata

Leave a Comment