Pyaas wo dil ki bujhane kabhi aaya b nahi
Published by Prince on Tagged PoetryPyaas wo dil ki bujhane kabhi aaya b nahi
Kaisa baadal hai jiska koi saaya b nahi
BeruKhi is se bari aur bhalaa kya hogi
Ek muddat se hamen ussne sataya b nahi
Roz aata hai dar-e-dil pe wo dastak dene
Aaj tak humne jise paas bulayaa b nahi
Sun liya kaise Khudaa Jaane,`zamaane bhar ne
Wo fasana jo kabhii humane sunaya b nahi
Tum to shaayar ho Qateel aur wo ik aam saa shaKhs
Oos ne chaaha bhi tujhe aur jatayaa b nahi.



Leave a Comment