Ab oos ko bhool hi jatay hein

Published by Prince on Tagged Poetry

Kab Kon kisika hota hai
Sab jhootay risthay nibhatay hein

Sab dil dharknay ki batein hein
Sab asal roop chupatay hein

Ikhlaq say khali log yahan
Lafzoon k teer chalatay hein

1 baar nigahoon mein aa ker
Phir sari umar rulatay hein

Wo jisnay diye hein ashk hamein
Ab oos ko bhool hi jatay hein



Leave a Comment