Ab Bhi Kabhi Chand Mujhe Dekh, Sharmata Hai
Published by Prince on Tagged PoetryAb bhi kabhi chand mujhe dekh, sharmata hai
Badlon mein chchup kar, ishare kar-kar jata hai
Badaliyan mil kar karein, meri hansi thitholi
Aasman dekh meri halat, Dost ban jhuk ataa hai
Ab bhi kabhi chand dekh mujhe, jal jata hai
Chandani ko bhej mujh tak, pata yeh lagata hai
Kon hai yeh roop jo chand ko bhi, lage chand sa
Sangini mein aisa dooba, chand ko bhulata hai
Ab bhi mujhe dekh chand, hans-hans ro jata hai
Aasman mein taak-jhank, pata yeh lagata hai
Pyar karnewale to karte hain baatein, chand ki
Raat dekhti rahti hai, Chand akela rah jata hai
Ab bhi chand dekh mujhe, taras-taras jata hai
Bahon mein bandhi bahein, lab se lab mil jata hai
Band palkon mein dooba, pyar baras jata hai
Raat ki athkhelion ko na kabhi chand khud pata hai



Leave a Comment