Hasrat Hay Tumhari Deed Karain
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain

Kuch Dair To Dil Ko Chain Milay
Kuch Roz To Man Ka Phool Khilay
Kehtay Hain Eid Ki Aamad Hay
Ab Log Bhi Kuch Ta’eed Karain
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain…

Tum Say Yeh Aik Guzarish Hay
Yeh Apnay Dil Ki Khowahish Hay
Aik Baar Milo, Aik Baar Milo
Har Baar Yehi Takeed Karain
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain…

Jab Ghum Kay Badal Chayay Thay
Us Waqt Bhi Tum Na Aaye Thay
Is Baar Bhi Tum Nahi Aai Ho
Sub Dushman Yeh Tanfeed Karain
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain…

Maana Kay Hum Deewanay Hain
Sub Baataon Say Anjanay Hain
Jab Apnay He Baiganay Hain
Kya Ghairon Say Umeed Karain
Tum Aao To Hum Bhi Eid Karain!!!.

Leave a Reply

You can use these tags: <a href="" title=""> <abbr title=""> <acronym title=""> <b> <blockquote cite=""> <cite> <code> <del datetime=""> <em> <i> <q cite=""> <strike> <strong>